Kalam se…

Syahi ka kaam kalam se bayaan hota hai…phulo ki pahchan mehak se bayaan hoti hai…

kudarat ki rahmat barish se bayaan hoti hai… Rooh ki ahmiyat zindagi se bayaan hoti hai…

Kalam se kahaniyan zinda ho sakti hai, Waqt nahi… Zakhmon se dard juda ho sakta hai, nishan nahi…

Parindey pinjren se riha ho sakte hai, aasman se nahi… Khilono se hasrat puri ho sakti hai, khawab nahi…

Saawli aakhon ka pani saawla nahi hota… Mann ka mauji bewajah bawara nahi hota…

Aashiqui bhi toh Aashiq ki mohtaj hoti hai… Khubsurati bhi toh kisi ki Aakhon ka taj hoti hai…

Zindagi Ka ye faisla aaj tak khuda ki adalat me hai… Ki ye Saanson se chalti hai ya meharbani hai dhadkano ki…

With Love ~T@ROON 📝

3 thoughts on “Kalam se…

Add yours

Leave a reply to T@ROON Cancel reply

Start a Blog at WordPress.com.

Up ↑